Friday, July 30, 2021

Aana pass mere......

Haule se Aana, yunhi mere pass bethna
Kuch mat puchna bs sath mai rehna 
Khamoshi ko meri mat najarandaaj karna
Jo na kahu wo jajbat samjh lena 

Jo dikhu bahut hi khush mai
To in Aankhon mai jara jhaank lena
 Mat puchna kyu udaas hu mai
 do pal bethna sath mere, Khamoshi ko pdh lena 

Jab rahu kabhi mai yunhi gumshum 
Do cup chai bin kahe bana lena 
Or jab dikhe baat baat pr aanshu 
Kuch na karna bs baanho mai bhar lena... 


Ehsaas

Jo mit chuka tha ehsaas mujhmai
Wo fir hone ko chala hai... 

Ye dil jo sambhal gaya tha kabhi
Ab fir behakane laga hai

Bahut samjhaya maine par meri kaha sunta hai
Bachche jesi jidd par ada hai

Jab dekhta hai "Us" ka chehra
Khud ba khud muskurane laga hai

Ab ye vasl - e - yaar ki riwayatein kaha hi hogi humse
Use sirf dekh kar hi rooh-e-sukoon hone laga hai

Ki ab firse mohabbat kar na sakega ye dil
Ye sari baatein jhuthlane laga hai

Hai mera ye sab bhrahm to whi sahi 
Dil mera khud ko behlane laga hai 





Sunday, April 11, 2021

Gulaab!!!

Kisine pucha ki konsa phool pasand hai tumhe...  
Mene has kr kaha ki nahi pata....
Kaise batau ki..
Mene nhi dekha dhyan se unhe kabhi .....
Na mujhe ehsaas hua unki sugandh ka .....
Ha pr mujhe bhali bhanti maloom hai
Kante Ki chubhan ...
Wo dard jo phool ki khushbu lene ki chah se milta hai 
Wo haath pr lage khoon ko dekh kr sochti hu 
Ki kaash us phool ko na chaha hota .......

Wednesday, October 3, 2018

Ishq !!

इश्क़ पे अब यक़ीं नही मुझे
तुम अगर साथ देना चाहो तो रुको

ख़्वाहिशों और चाहतों से 
आगे निकल आयी हूँ मैं 
तुम अगर ज़रूरत बन पाओ तो रुको 

मंज़िलो की  नही अब परवाह मुझे
तुम अगर सफ़र में रहना चाहो तो रुको 

यूँ तो पत्थर से भी कठोर हूँ मैं
तुम अगर आँसू देख पाओ तो रुको

Saturday, May 10, 2014

"MAA"

Meri ek jhalak se jo apna sara dard bhool gayi
Jiske hone se jindagi baghbaan hoti hai 

Jiske hone se milta hai sukoon mujhe,
Jaha se meri jindagi ki shuruwat hoti hai.

Shishe sa najuk ,Mom sa komal dil hai uska
Jiske aanchal mai mamta bharmar hoti hai.

Jab kabhi koi tod de dil mera toh,
to taklif use kai guna hoti hai.

Koi kitna bhi kare sandeh mujh par,
ek wo hi hai jo hamesha mere sath hoti hai.

Jab taklif mai ho tum ae dost,
rakh lena sir uski goud mai,

Bin bataye sab samajh jayegi,
aisi shakti bhagwan mai bhi kahan hoti hai.

Bhagwan ko kisne dekha duniya mai ,
 Jiska kad hai usse bhi uncha wo to sirf MAA hoti hai .

Jo karti hai ni swarth prem tumse,
 wo Maa hai jo bichadkar din raat roti hai.

Karti hu pranaam us srashti banane wali ko,
jiske charno mai asli jannat hoti hai.

Na samajh sake na samajh saka koi uske pyaar ko,
Kyunki maa to bas MAA hoti hai


Wednesday, April 3, 2013

SHAYAD !!!!!!!

Kuch lafz hai jo dil mai hontho par kabhi aaye nhi ,
Kese karu m bayan inhe ye jara samjhaye koi ,

Dil ka bewajah Dhadakna 
Raat mai gaane sunkar Kisi ka khayal karna 

Ye sab yunhi hai ya koi or baat hai,
Ya shayad mere behte huye JAjbaat hai

Jo baat hai dil m kaid,kesse use kisiko samjhau
Raat raat bhar rona ab shayad or na kar paau 

Jab chahu milna tumse ae dsot to sab dhundla padta hai 
Jindagi ke is falsafe se shayad har koi gujarta hai 

Kuch waqt or tab shayad sab sahi ho jayega 
or dil m dabi baat kabhi koi or bhi samjh payega 

tab shayd na karna hoga mujhe or khush rehne ka dikhawa
kunki ab aur nhi gawara nujhse ye chalawa 

Zindagi ki uljhane shayd tab sulajh jayengi 
Jab aankh khol kar dekhungi mai or apne shambhu ko paaungi 

Baanhe khole khade honge mujhe le jaane ke liye 
aur tab shayad akhiri bar bina alvida kahe hi chali jaaungi

Tuesday, December 4, 2012

Woh !!!!!

Mai or WOH aksar saath hote hai,
Mujhe jindagi jeene ki raah dikhate h 

Jab Koi nhi hota sath mere ,
To wo or m khoob bataiyate hai,

Mujhe khush karne ki chaabi hai unke pass,
bas kayi baar tala badal jaate hai .

Mere har ek sapne ko chaar chaand lagate hai woh,
Or unhe pura ho jane ka bharosha dilate hai .

Chahe kisise bhi gussa kyu na hu mai,
par har baar wo hi mujhe manate hai.

Jab khana khana bhul jaati hu mai,
to Wo hi pehle nivala khilate hai.

JAb sabka vishwas toot ta hai mujhe mai,
To ek wo hi hai jo nayi umang jagate hai.

Jab Koi todta hai dil  mera ,to wo hi mujhe smajhate hai ,
Mere ek -ek DUkh ko maaano kam kar jaate hai .

Ab kiski Jarurat mujhe hai,
Mere Wo mujhe har Dukh Taklif se bachate hai .

Mere WO na hokar bhi h mere Wo,
Wo KOi or nhi SHAMBHU kehlaate hai .!!!!!!!!!!!!





Visitors Counter